Technology

Whatsapp Payments Feature ke bare main puri jankari

Written by yashdeep

whatsapp payments feature kya hai, kaise istemaal kare aur aap ye naya feature kaise apne mobile main enable kar sakte hai uske bare main aapko sari jankari share karne vala hu. Is feature ke aane se ab bahut aasan ho gaya hai payment karna.

whatsapp ka ye feature UPI(Unified Payment Interface) based hai. UPI ki madad se aap kisiko bhi apne bank ki details share kiye bina payment received kar sakte hai. Bas uske whatsapp par ye payments ki bank details linked honi chahiye aur aapke whatsapp main bhi details linked honi chahiye.

Instagram par followers grow karne ki techniques

E commerce website ke liye SEO Tips

Whatsapp Payments Feature Kiase Enable kare?

Agar aapko apne whatsapp main ye Feature chaiye to Uske liye do tarike hai.

  • Beta Version
  • Invite Option

Ye Dono tarike se aap apne whatsapp payments ke naye Feature ko use kar payenge.

Beta version

Aapko koy bhi application ke naye feature ko agar istemaal karna hai to aapko bas itna karna hota hai ki us application ka beta version download karna hota hai aur install karna hota hai. whatsapp paymets feature ke liye bhi aapko bas uska whatsapp ka beta version download karna hoga aur aapko aapke is beta version main ye Feature mil jayega.

Invite Option

Ye option sabse best option hai kyuki phele vale main aapko uska beta version download karna hota hai aur fir aap use kar sakte hai lekin ye thoda hatke hai. Agar kisi ne beta version install kiya hai aur payments main apna mobile number aur bank address set kar diya hai to bas aapko kuch nahi karna hai. Sirf  Apne whatsapp ko latest version se update karna hai.

Ab aapko koy aisa friend chahiye jiske pass ye option ho aur usne apna mobile number aur bank address fill kiya ho fir Niche diye gaye steps ko follow karna hai bas:

NOTE: Ye ios mobile se screenshots Liye gaye hai lekin aap same Process Android se bhi kar sakte hai

Step 1:

Usko kahiye ke aapke sath personal chatting ke liye aapka contact number select kare

Step 2:

Ab usse kahiye ki Attachment vale option par click kare aur payment vale option ke button ko press kare.

Step 3:

Bas us friend ke Phone main option aayega aur aapka kam ho gaya ab kyuki aapke phone main bhi ye option ab aa gaya hai.

Ye option bahut aasan hai aur aapko apne purane vale whastapp ko bhi nahi uninstall karna hoga direct ye Feature aapke whatsapp main aa jayega.

Apne Blog liye sitemap kasie banaye

Facebook page kaise banaye with quick setup guide

Whatsapp Payments Feature main Bank account kaise Link Kare?

Humne Uppar do tarike bataye hai agar  kisi bhi ek tarike se ye feature aapke whatsapp main aa jata hai to aapko aage bas simple steps ko follow karna hota hai.

Sabse phele aapko Whatsapp Open karna hoga Fir uske settings ke option main jana hoga. Vaha par aapko ye payments ka option show hoga bas aapko ab us option par click karna hai aur apne mobile number ko verify karna hai. verify karne ke liye aapke sim carrier ke hisab se charges lagenge normally aapko 1.5 rs lagenge.

Ab aapke samne bahut si banks ke name aayenge aapko ab vahi bank ko select karna hai jisme aapka account ho. Ek baat ka dhyan rakhe aapko apne usi number ko verify karna hai jis number se aap apna whatsapp chala rahe hai aur jo number aapke bank account se Linked hai.

Fir jaise aap apne account vali bank par click karenge  aapke samne aapka account aa jayega aur aapko bas apne account ko select karna hai. Agar aapne phele is account se UPI pin set kiya hai to vo pin use kijye aur nahi kiya hai to aapko apne is bank account par click karna hai aur apna UPI pin set karna hai.

Ye UPI pin 4 digit ka hoga aapko ye secret rakhna hai kyuki jab aapko kisi ko paise bhejne honge whatsapp se to isi pin ka upyog karke aap paise bhej sakte hai.

Whatsapp Payments se kisi ko paise kaise transfer kare?

Jab aapke whatsapp par paymenst ka Option bhi aa gaya hai aur bank account bhi link ho gaya hai to ye sawal hota hai ki iska istemaal kaise kare?

Bas aapko kuch nahi karna hai apne friend ke message ke personal chatting window ko open karna hai aur Attachment ke option par click karna hai vaha par aapke samne payment ka option show hoga us par click karna hai aur aapko jitni amount usko send karni hai vo amount likhni hai. Niche note ka option bhi hoga usme aap Note bhi likh sakte hai ki aap ye pasie kyu bhej rahe hai itna karne ke baad send vala arrow hoga us par click karna hai.

Ab whatsapp aapko UPI pin puchega jo aapne phele ya abhi diya hai vo 4 Digit ka pin dal dijye aur apne payment ko apne Friend ke Account main jane Dijye. Ab ye payment turant aapke Friend ke Bank account main add ho gaya hoga aur chatting main usko message gaya hoga us amount ka.

Note: Is feature ka istemaal karne ke liye aapke friend aur aapke whatsapp main Bank account link hona chahiye.

Whatsapp Payments feature Ke Advantages:

Is Feature ke bahut se Advantages hai jo aapko niche bataye gaye hai:

  • Aapko samne vale Friend ka account number aur IFSC code nahi chahiye
  • Paise transfer karne ke koy charges nahi hai
  • Bahut easy hai aur aap instant kisiko paise bhej sakte hai.

To aapko maine sab details main bata diya hai Whatapp Payments ke is naye feature ke bare main agar aapko hamari ye jankaari pasand aati hai to apne dosto ke sath jarur share kare aur koy bhi problem ho to hume comment karke jarur bataye.

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

83 Comments

Leave a Comment