Blogging Tips

Page Load Speed se website ka Traffic kam ho sakta hai

Written by yashdeep

Sabhi website ne badlav kiya hai apni website ki page load speed k load hone main kyuki kuch website ko fayda huva hai to kuch ko nuksan. Jinki wbsite ki speed load hone main kam thi unke users website load hone se phele hi bhag gaye to unko nuksan huva hai aur jinki website fast load ho rahi thi unko jyada traffic mila aap jante hai jyada traffic yani k jyada profit.

Aakhir kyu Page Load Speed Important hai?

Ye bahut jaruri hai ki aapki website ki page load speed acchi ho. Kyuki aapke sare users agar bored ho jayenge agar aapki page load speed kam hai to vo dusri website se apne search kiye result se answer ley lenge. Aapka content kitna hi accha ho agar page load speed kam hai to koy kam ka nahi hai. Aur aapke page mein stay bhi nahi honge to aapki page ka stay time bhi kam hoga aur average stay time bhi bahut kam ho jayega.

Ek research ke anusaar aapke website 2 seconds main load nahi hoti hai to aapke user vo website ko nahi open karte hai aur dusri website se content dekh lete hai. Aapke competitors ko bahut fayda ho sakta hai iski vajah se. Yahi research main ye bhi dekha gaya hai ki aadhe users ab kam Page load speed vali website pe vapas nahi aate hai.

Agar aap ye soch rahe hai ki aapki website k har page ki load speed 2 seconds se kam hi hogi to aap bilkul galat hai.

Mobile aur desktop dono ki page load speed alag alag hoti hai to aapko dono ki dekh ni chaiye taki aapko pata chale ki dono main kitna difference hai load hone main. Ho sake to free tool ka istemaal karke aap apni website ki speed pe analysis kar ley.

Kese check karu apni Page Load Speed?

Website ki page load speed check karna bahut aasan hai kyuki google ne ek free tool diya hai jiski madad se aap aasani se check kar sakte hai.

Yaha raha Page Speed Online, test karne ka google ka Tool aapko sirf apna URL Enter karna hai ye tool aapko aapke website ki mobile aur desktop dono ki page load speed k bare main bata dega to ek baar dekh lijye bahut aasan hai ye.

Muje yakin hai ki aapki speed kam hi hogi aur aapko thode bahut suggestitons bhi diye jayenge Jiski madad se aap apni speed load hone main kaha se dikat aa rahi hai.

Thode reasons hai jo aapki Page load speed mein badha dal rahe hai

Yaha pe aapko hamne thode reasons diye hai jo aapki webisite ki load speed kam hone main ho sakte hai.

Unnecessary Files agar aapke database main faltu files bahut hai to ye ek badi samsya ho saki hai aapko apne database ko acche se handle karna chahiye taki aapko koy paresani na ho. Aapki database ki size bhi kam hogi to aapki diskspace main bhi jagah hogi thodi vo accha hai aapke liye.

Css aur scripts ko external files ke tor pe save kare. Har baar aapki stylesheets load hogi jab jab visitor aapki website ke kisi bhi page pe jayega. Files ko external save karke ye problem se aap chutkara pa sakte hai aur apne speed ke kam hone k is karan se bach sakte hai.

Use caches. Ji ha aapko caches ke liye koy accha plugin aur koy badhiya services ka istemaal karna chahiye iski vajah se speed bhi increase hogi aur aapki bandwidth main bhi profit hoga. Aap MAXCDN aur KeyCDN ka istemaal kar sakte hai. WordPress hai to aap usme available cache plugin use kar sakte hai jese ki wp super cache aur wp fastest cache dono plugin use kar sakte hai. Jetpack plugin bhi accha hai.

Image optimization. Agar aapki website main badi badi images hai to uski vajah se page k load hone main dikat aa sakti hai aapko apni images ki size ko reduce karna chahiye jisse aapki website main aur aapke post main aane vali image jaldi load ho aur reader ko jaldi se image show ho.

Gtmetrix karke Tool hai aap vaha se bhi apni speed ko check kar sakte hai aur competitor ki weibsite ko bhi compare kar sakte hai ki dono ki page load speed kitni hai. To aakhir main yahi true hai ki aapki speed 2 seconds se kam honi chahiye jo shared hosting ke plan main impossible jesa hai fir bhi aap upper di gayi bato ko dhyan rakhe to thodo fayda hoga.

Agar aapko hamari ye jankari pasand aayi hai to isse apne dosto k sath share kare aur koy problem ho to comment jarur kare. Apni speed kitni hai vo bhi aap bata sakte hai hame comment k jariye.

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

41 Comments

Leave a Comment