Blogging Seo

Seo friendly post kaise Likhe uske liye tips

Written by yashdeep

Har naye Blogger ka ye Question hota hai ki Seo friendly Post kaise likhe.SEO Friendly post jaldi se Search engine main index hota hai aur Aapko accha organic traffic bhi milta hai. Main aapko Kuch tips batane vala hu ki aap kaise seo freindly post likh sakte hai.

Sirf Post ko reader k liye nahi Search engine k liye bhi optimize karna chahiye taki aapki post uppar show ho aur accha traffic aaye aapke site par.

SEO Friendly Post likhne ki tips:

1. Unique Aur original Content

Koy bhi blog ho naya ya purana agar uska content unique hai aur Orignal hai to vo aasani se search main upper aata hai aur aapko organic traffic milta hai.

Google ko pata chal jata hai ki content original hai ya kahi se copy kiya huva duplicate hai. google apne users ko copy kiya content kabhi nahi dikhata hai sirf naya content hi dikhata hai. To aap sirf naye content par dhyan de.

Original content ki link dekar aapka content unique nahi hota hai – Kuch bloggers ye galti karte hai ki pura content copy karte hai aur unka link de dete hai ki ye source yaha se liya hai. Kya link dene se content unique hota hai to iska javab hai bilkul nahi abhi bhi aapka content copy hai aur aap apne users ko kuch bhi naya nahi de rahe hai jo jankari hai vo sari full copy hai.

Kasie check kare content ko? – To iska sidha javab hai Online bahut sare Tools available hai jo check karke dete hai ki aapka content kitna unique hai. Plagiarism Checker k name se ek tool hai aapko sirf isme content dal na hota hai vo aapko bata dega ki kitna unique content hai aapka .

Aap changes kar sakte hai content main agar vo bahut kam unique hai aur 100% unique bhi bana sakte hai.

 

2. Post karne se phele Title par Research kare

koy bhi post google k first page main ho lekin uska title attractive nahi hai to organic traffic nahi milega aapko. Seo friendly Post main title bhi main hota hai.

yaha par kuch reasons de raha hu ki kyu Title Important hota hai:

  • search engine title se hi page k bare main pata lagate hai ki iske under kya hoga.
  • user read tabhi karega jab usko uski search k hisab se title dikhega.
  • Adsense ki ads ya dusri advertisements bhi page k title k anusar ads dikhate hai.
  • ye importnat factor hai on page seo ka.

kaise select kare post ka Title? 

  • keyword planner se aap ye pata laga sakte hai ki konse keyword par kitni competition hai aur kaise keyword search ho rahe hai is topic par
  • Google, Bing aur yahoo aapke us keyword ko find karte hai jo title main hote hai aur vaha se hi vo results dete hai. jab aap kisi bhi search engine main search karte hai tab vo aapko suggestions milte hai to aap usko use karke koy accha sa title bhi de sakte hai.
  • Upper bataye gaye tarike se agar aapne Title select kiya hai to usko itna attractive banye ki user title ko padh k aapke page par visit kare.
  • aapka title 65 characters se kam hona chahiye.

 

Note: Aapne jo keyword select kiya hai vo title hai main hona bahut important hai uske baad dusre words dale title main.

Ex: Agar aapka Keyword seo friendly post hai to aap is tarah se title de sakte hai

1 seo friendly post kaise likhe

2 seo friendly post se kya fayda hota hai

3 seo friendly post kaise kare

4 seo friendly post kaise likhe uske liye tips

3. Introduction Bhi accha banaye

Jab search engine main data crawl ho raha hota hai tab vo Introduction bhi check karte hai agar vo accha ho to uppar aata hai results main.

Aapka kam sirf itna hai ki aap ne jo focus keyword select kiya hai vo aapke post k first paragraph main hona chahiye aur vo bhi uski first 2 lines main. Isko meta description kehte hai humne image dekhayi hai uski.

jo uppar image dekhi vo result hai google search ka to aap vaha dekh sakte hai title aur focus keyword dikh rahe hai vaha aapko thodi post bhi dekhay de rahi hai. Usko hi meta description  Bolte hai. Agar aapne vaha apne keyword dale hai to accha hoga aur vo first page main show bhi ho sakti hai.

4. post ki Body ko mat bhul jaye

Uppar jo bataya utna hi mat kare ye aadha kam hoga acchi seo post likhne ka aapko Body par bhi dhyan dena hai usme bhi Keywords dalne hai aapko. Aapko puri post main 5-12 time hi Focus keyword use kare agar aap keyword ko bahut use karte hai to search engine usko spam samaj leta hai usko kabhi show nahi karega.

5. Internal Linking

Muje Internal Linking bahut pasand hai aur main sabhi post main karta hu aapko ye jarur karni chahiye. Agar aap Internal linking karte hai to aapke Bounce rate bhi kam Ho sakta hai usse.

sabse accha example hai Wikipedia ka aap koy bhi information read kare Wikipedia se vaha aapko dikhay dega ki har jaruri keyword par Internal Linking kiya hai. Ye onpage seo ka Important factor bhi hai.

6. Text ko sundar banaye

Aapko kuch naya nahi karna hai sirf aapko jaruri jagah par Blod, Italic, Images aur Video rakhne hai taki reader vapas aaye aapke page par. Sab kuch clearly samaj main aana chahiye is tarh se article likhe.

kyu ye karne se ranking aage Hogi? – bilkul nahi hogi par aap ne itna dhyan diya hai seo k liye to aap post ko accha present kare kyuki acchi post se ye bhi hota hai ki aapka visitor aapki site par ab direct aaye organic traffic se na aaye. Aapko visitors bhi badhane hai.

7. Images aur Optimize Images Use kare

Images ki vajah se user ko aasani hoti hai aapke content ko samajne main aur search engine main bhi accha asar hota hai. Agar koy images search kar raha hai aur aapne uske relative image dala hai to user image k jariye aapke blog par aa sakta hai.

Post main Images ko kaise use kare:

  • Aapke pass copyrights ho vahi images ka istemaal kare
  • Image ko aap use kar rahe hai usko optimize kar de jisse aapki website slow nahi hogi.
  • ALT text use kare image main aur focus keyword bhi use kar sakte hai
  • meaning full image rakhiye unnecessary images ko na rakhe.

8. Read Kare Publish karne se phele

Ye bhi important hai aap jab bada article likh rahe hai tab choti mistakes hona aam baat hai. Koy spellings ya grammer ki error bhi ho sakti hai. Koy sentence kam ka bhi nahi hoga vo bhi remove kar sakte hai.

Aur har baat ko dhyan se dekhiye published karne se phele. Bahut kharab asar hota hai agar aap baad main Url ya Post ko edit karte hai to. Kyuki already index data ho chuka hai aur aap ab us main changes kar rahe hai.

Conclusion

yahi aakhir main samne aata hai ki aapko search engine ko samaj main jaldi aaye aesha content likhna hai.

Important topics jese ki Title, Internal Linking, Images, uniqueness aur Presentation par dhyan dena hai aur apne post ko seo friendly post bana k search main upper lana hai.

Aapko ye sari information jarur kam main aaye aur aapki post search main uppar aaye jisse aapko organic traffic mile. Apne dusre friends k sath bhi jarur share kare aur koy bhi problem ho to comment main likh de.

 

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

121 Comments

Leave a Comment