Blogging Wordpress

WordPress Theme Install kaise kare Full Guide

Written by yashdeep

Hum aapko Puri Details main batane vale hai ki aap kaise WordPress Theme ko install kar sakte hai aur usko activate kar sakte hai. Online aapko wordpress ki Free themes bhi Miljayegi aur paid themes bhi mil  jayegi aapko jo Pasand aaye aap vo istemaal kar sakte hai.

Hum ne jo Link upper diya hai vaha se aap Koy bhi theme select kar sakte hai aur vo sari themes bilkul free hai. Ab aapko koy bhi ek theme Download karni Hogi. Agar aap vo Download nahi karna Chahte hai to koy baat nahi hai vo sari themes aap wordpress main Themes k Under jake search bhi kar sakte hai vo sari free theme yaha aapko search main miljayegi.

 

WordPress theme Installation Guide:

Ab aapke pass Download Ki huyi Theme hai jo .Zip format main hogi usko aapko sidha Upload karna hota hai uske sare steps humne dikhaye hai.

  • Login kariye WordPress dashboard main
  • Ab Appearance> Themes > Add new

Ye steps karne hai jo Screenshot main dikhaye gaye hai

Click karna hai Upload theme par aur aapke system main jo theme hai Usko yaha upload karna hai.

Upload Theme pe click karne k baad aapke samne File ko choose karne ka option aata hai. Jese hi aap choose file par click karta hai Turant vo aapko system ki files dikhata hai aapko ab download Ki huyi theme ko select karna Hoga.

File Choose karne k baad aapko install Now k Button ko press karna hai. jo theme ki file aapne choose ki thi ab vo aapke wordpress main Install Ho rahi hai uske upload hone k baad vo aap use kar sakte hai.

WordPress theme ko activate karne se phele aapko ek baar Preview kar dena chahiye kyuki aapko pata chal jayega ki vo theme kesi lag rahi hai. Kayi baar preview se hume pakka pata nahi chalta hai ki kuch errors hai ya nahi hai. Agar aapki site abhi tak live nahi hai aur aapne nayi start ki hai to activate kar k dekh le baad main aap apne hisab se aur theme k options se usse customize kar de.

WordPress theme Activate:

Installation khatam hone k baad aapko apne dashboard main jana hai vaha pe aapko  Appearance> Themes, jana hai aapko yaha aapki sari wordpress ki Theme najar aayegi jis theme ko activate karna chahte hai us pe jaye aur direct activate par click kar de. Preview bhi aap kar sakte hai aur Activate bhi dono option available hote hai.

Delete/uninstall WordPress themes:

jab aapne apni pasand ki theme ko install kar diya hai to ab aapko unused theme ko remove kar dena chahiye. Ekdam easy hai theme ko delete ya Uninstall karna. Aapne uppar image main dekha ki Activate aur preview k Bilkul uppar Likha hai theme details vaha pe aapko click karna hai fir aapke samne option aayega theme ko delete karne ka.

Delete par click karne k baad ek popup aata hai usmain ye aapse conform karta hai ki aapko ye theme delete karna hai k nahi karna hai agar aap ok click karte hai to vo delete ho jati hai aur cancel karte hai to vo delete nahi Hoti hai.

Dhyan De: Activate theme aur live theme ko delete na kare. Sirf unused theme ko hi delete kare.

Muje lagta hai ab aap wordpress main ek kadam aur aage badh gaye hai. Agar aapko koy pareshani ho to comment main jarur likh de hum aapko vaha possible solution de denge.

 

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

14 Comments

Leave a Comment